Shankar mahadevan breathless full lyrics

Shankar mahadevan breathless full lyrics

Shankar mahadevan breathless PART 1

Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha
jaise meri saari duniya main geeton ki rut
aur rangon ki barkha hai khushbu ki aakdhi hai
mahki hui si ab saari fizaayen hain
bahki hui si ab saari hawaayen hain
khoyi hui si ab saari dishaayen hain
badli hui se ab saari adaayen hain
jaagi ummengein hain, dhadak raha ahi dil
saason main toofaan hain, hoton pe nagme hain
aakhon main sapne hain, sapnon main beete hue saare vo lamhe hain
jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha
dil main samaya tha, kaise main bataun tumhe
kaise use paaya tha, pyaare se chehre pe bikhri jo julphen
to aisa lagta tha jaise kohre ke peechhe
ek os main dhula hua phool khila hai jaise
badal main ik chaand chhupa hai
aur jhaank raha hai jaise raat ke parde main
ek savera hai roshan roshan aakhon main
sapnon ka saagar jismain prem sitaron ki chaadar
jaise jhalak rahi hai
lahron lahron baat kare to jaise moti barse
jaise kahin chandi ki payal goonjey
jaise kahin sheeshe main jaam girey
aur chhann se tootey jaise koi chhip ke sitaar bajaye
jaise koi chaandni raat main gaye
jaise koi hole se paas bulaye
kaisi meethi baatain thee
vo kaisi mulakaatein thee
vo jab maine jaana tha
nazron se kaise pighalte hain dil
aur aarzoo paati hai kaise manzil
aur kaise utarta hai chaand jameen par
kaise kabhi lagta hai swarg agar hai
to bas hai yahin par
usne banaya mujhe, aur samjhaya mujhe
hum jo mile hain, hamain aise hi milna tha
gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha
janmo ke bandhan, janmo ke rishtey hain
jab bhi hum janme to hum yahin milte hain
kaanon main mere jaise, shahed sa ghulne lage
khwaabon ke dar jaise aakhon main khulne lage
khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur
kaisi rangeen thee khwaabon ki duniya
jo kahne ko thee par kahin bhi nahi thee
khwaab jo toote mere, aakh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe
maine dekha maine jaana
vo jo kabhi aaya tha, nazron pe chhaya tha
dil main samaya tha, ja bhi chuka hai
aur dil mera ab hai tanha tanha
na to koi armaan hai, na koi tamanna hai
aur na koi sapna hai
ab jo mere din aur ab jo meri ratain hain
unmain sirf aansoon hain
unmain seif dard ki ranj ki batain hain
aur pharyaadein hain
mera ab bhi koi nahi main hoon aur khoye
hue pyaar ki yaadein hain (3)

Shankar mahadevan breathless PART 2

Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hain unmein sirf aasun hain unmein sirf dard ki ranj ki baatein aur faryadein hain mera ab koi nahin main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein
doob gaya hai dil gham ke andhare meri saari duniya hai dard ke ghere main
mere saare geet dhale aahon main
banke deewana ab yahan wahan firta hoon
thokar khata hoon un rahaon main
jahan use dekha tha jahan use chaha tha
jahan main hasa tha aur badmein roya tha
jahan use paya tha pake khoya tha
jahan kabhi fulon ke kaliyo ke saaye the
rangeen rangeen mehki rut main har ek kadam pe ras rachaye the
gulshan gulshan din main ujale the
jag mag jag mag noor tha raaton main
jhil mil jhil mil
jahan maine khabon ki dekhi thi manjil
jahan meri kashti ne paya tha sahil
jahan maine payai palkhon ke chhav
jahan meri bahon main nikhalti kisi ki mari mari bahein
jahan ek chehre se hatti nahi thi meri nigahein
jahan kal narmi narmi hi thi pyar hi payaar hi tha hathon haththe
jahan kal gaye the prem tarane
jahan kal dekhe the sapne sunahne
kisi ko sunaye the dil ke fasane
jahan kal khayi thi jeene ki marne ki kasme todi thi duniya ki saari rasmein
jahan kal barsa tha prit ka badal
jahan maine thama tha koi aachal
jahan pehli baar mein hua tha pagal ab uun rahon mein koi nahi hai ab hai woh rahe ……..
dil bhi jaise hairan hairan jaane kaha gaya mera sapno ka mela
aise hoi khayalo mein khoya khoya
ghum raha tha mein kabse akela
chamka sitara jaise koi gagan mein
gunji ghata mere ghar aangan mein
kisi ne pukara mujhe mud ke jo dekha maine mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe jise maine chaha tha jise maine puja tha
lot ke aaya hai thoda sharminda thoda ghabraya hai
zulf pareshan kapte hout aur bheegi hui ankhen
dekh raha mujhe gum sum gum sum uski nazar jaise puch rahi hai itna toh bata do kahi khafa toh nahi tum pyaar jo dakhi phir meri nigahoon mein agle hi pal tha woh meri inn bahon mein
bhool gaya mera dil jaise har gham badal gaya jaise duniya ka mausam
jhome nazare aur jhumi fizaien aur jhome the mann aur jhumi hawaein
jaise phir gaane lagi saari dishayen
kitni hasi hai kitni suhani
hum dono ki prem kahani(3)

Shankar mahadevan breathless is the 1998 Indi-pop album by Indian singer-composer Shankar Mahadevan featuring lyricist Javed Akhtar

You can also watch video of shankar mahadevan breathless on youtube

यह भी पढ़ें

How To Make Money From Affiliate Marketing In Hindi

How To Make Money Online In Hindi 

 6 Best Ways To Make Money From Youtube In Hindi

How To Make Free Website In Hindi

 

facebook page 

1 thought on “Shankar mahadevan breathless full lyrics”

Leave a Comment